This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

Saturday 30 April 2016

hair falling

Girty balon (hair loss or hair fall) sy kisy nahin dar lagta? Aj kay zamaney mein kon esa shaks hy jo zahnee uljhno mein jkra hua nhi hy. Sakoon ki kami or manfi sochon ny na sirf insane seht py na qabil e talafi asrat murtb kyey hein balky balon ka bhi bura haal kr diya hy jisko dekho apny balon ky girny (hair loss) ka rona rota nazr ata hy. Desi gharelu totkay aur nuskhe ya home remedies istiml karne se hmay balon k girne ya jharnay ki preshani sy nijaat mil sakti hai.
Gharelu Totkay (Upay) for Hair Loss Prevention in Urdu / Hindi:
  • Akhrot khana girte balon se bachaon k liye mofeed nuskha hai. Kiun k akhrot main aisey ajza (tail) hota hai jo balon ko mazboot banata hai. Agar uss tail ki kami ho jay tu baal girna shuru ho sakte hain.
  • Iron yani folad ki kami bhi baal girne ka baes banti hai. Palak main chonke iron ziada hota hai iss ka khorak main istemal balon ko girne se bachata hai aur mazboot banata hai.
  • Kheeray ka juice girty balon yani hair loss k liye bohat mofeed totka hai kionkey is mein mojood sulphur or silicon balon ki nsho numa ky lyey zroori hy.
  • Agr kheray ky juice mein gajr ka juice or palk(spinach) ka juice mila ky istimal kya jyey to balon ka girna bnd ho jatay hain yani hair fall ruk jata hai.
  • Amalon ko raat ko pani mein bhigo dein. Subha amlon ky pani sy ser dho lein.
  • Chuknder ki jer paton(leaves) or mehndi ky pton(leaves)ko pees lein or is paste ko balon py lga lein.2ghnty baad dho lein.balon ka girna bnd ho jyey ga.
  • Palk or dhnyey ka juice peeny sy baal girna (hair loss) band ho jaty hein.
  • I chmch sirka 1glass pani mein mila lein.hr khany ky sath pee lein.
  • Nareal ka doodh balon mein 2 ghunty ky lyey lga ky chor dein.baad mein kisee achay shampoo sy dho lein.
  • Daar cheeni powder shehd or zaitoon ka teil mix kr ky ser py is ki malish krein.baal girna bnd ho jein gy.
  • 1cup mustard oil mein 4 khany ky chmch henna ky pty shamil kr ky boil krein.kisi bottle mein chaan(filter)kr ky rkh lein.roz iski malish krein.
  • Pani or dhnyey ko mila ky juice bna lein.baal dhony sy phely balon mein lgein or saaf pani sy baal dho lein.
  • Daar cheni powder mein thora sa pani daal kr paste bna lein.ser mein laip krein or 1 ghntay baad dho lein.
  • 1 anda amla powder mein mila ky paste bnein or balon mein lga lein.baal girna bnd ho jein gy. yeh girte balon ke liye azmood totkon main se aik aham totka hai.
  • Hr roz badam ky oil sy malish krny sy baal grna bnd ho jaty hein.
  • Amala,reetha or shikakai ko pani mein daal kr boil krein.jb pani adha reh jyey to thnda kr lein.is shampoo sy baal dhony sy baal girna bnd ho jein gy.
  • Paiaz (onion)ka chilka utaar lein or km balon ki jga py rgrein.baal ugna shru ho jein gy.- Piaz k elawah lehsan (garlic) ya adrak (ginger) ka juice balon main laganay k bhi musbat nataej nikalte hain.
  • Green tea bhi hair loss ya hair fall k liye aik mofeed totkon main se aik totka hai. 2 green tea bags se green tea bana kar kadrey thanda kar ke balon par laga lain.
  • Castor oil or zaitoon ka teil eik mikdar mein mila lein.neem grm kr ky malish krein.baal girna bnd ho jein gy.
  • Andy ki zardi mein shehd mix krein or malish krein.baad mein shampoo sy dho lein.
  • Amla,reetha or andy ki zrdi mila ky paste bna lein.balon ko achi trha massage krein. Baad mein shampoo sy dho lein.
  • Nem ky pton ko pani mein ubal lein.thunda honay per is sy baal dho lein. ye bhi hair loss yani girte balon ka moais desi ilaj hai.
  • Baal dhotay waqt km az km 10 minute kisi bhi quderti teil ka massage zroor krein.baal gira ya jharna bnd ho jein gy yani hair loss ruk jay ga.

seht mand ankhon ke liye tips(in urdu)

Ankhain (eyes) aik   buhut bari naymat hain orr unki safaie or sehat ka khayal rakhna yani care karna buhut zaroori hai. Agar ankhon (eyes) ka khayal na rakha jai tou buhat si ankhon ki bimarian honay ka khadsha lahaq ho sakta hai aur in ki khubsurti bhi motasir ho sakti hai. Hamari ankhon (eyes) ko sehetmund rahknay kay liyay buhat say gharelu totkay (upay) akhtiyar kiyay jatay hain.
Ankhon  (eyes) ki sehet kay liye gharelu totkay/ upay:
  1. Agar ankhon  ki andar paie janay  wala safaid hissa zara pilahut mile ho jai tou ankh mey zara sa gulab ka arq dalnay say ankh saaf hoti hai orr in ki chamak wapis aa jati hai.
  2. Buhut si sabzian or phal khas tour per aonkho kay liyay mufeed hai jaisay kay gajar ka rus peenay say ankho ki binaie taiz hoti hai or tazgi bahal hoti hai.
  3. Sonf ka istamal bhi ankhon ki taqat ziada karnay kay liyay buhut  achia totka hai. Agar binaie kum ho rahi ho tou subh nihar mounh thori si sonf phank layni chahiyay, or din kay mukhtalif aoqat mey bhi sonf chabanay say nazar ki kami mey afaqa ho ga.
  4. Ankhon kay nichay agar kaalay halqay hon tou un kay liyay kheera ko pies kar us ka lyaip un kaaalay hulko par lugai or 10 say 15 minutes kay liyay laga rahnay daie or phir saaf pani say dho lai, ankhon par kheeray kay qatlay kat kar rakhnay say bhi ankho ko buhut  tarawat  milti hai.
  5. Ankhon ki  jhurion ko kum ya khutum karnay kay liyay bhi gulab kay arq or kheeray kay pani ka laip kar kay ankho ko bund karay or sakoon say lait jai. Iss say worry lines or ankho ka stress kum ho jata hai.
  6. Agar kisi waja say ankhon mey sojan aa jai tou un pay baraf rukhnay say un ki sojan kum hona shuroo ho jai gi. Raat ki pursakoon need bhi ankho kay liiyay buhut mufeed hoti hai orr baykhwabi say ankh okay halkay barh jatay hai iss liyay kam iz kum 7 say 8 ghnatay ki need zaroor layni chahiyay.
  7. Dhoop ki tamazat say ankh ko bachanay kay liyay dhop wala chashma pahanna chahiyay or gher wapis aa kar aonkhon par saff pani kay chiantay zaroor marnay chahiyay.
  8. Aik roie ka chota sa tukra lay kar iss ko gulab kay arq or chand qatray castor oil mey dubo day or phir yeh ankhon par rukhnay say ankho ki surkhi or puffiness kum ho ti hai.
  9. Halqa kahwa bana kar us ko thinda karlai or is yekh thunda kahway say ankho ko dho lai 2 say 3 munites tek or phir saf pani say saf karai. Iss say ankho ko sakoon milta hai.
  10. Apni ankhon kay muscles ko relex karnay kay liyay or tension khatum karnay kay liyay aik azmooda nuskha yeh hai kay subh kay waqat sabzay or phoolo ko daikhay iss say bhi ankho ko sakoon or tarawat milti hai.
  11. Shakarqandi aur palaka ka istemal eye care yani aankhon ki hifazat k liye bohat mofeed totka hai.
  12. Computer, mobile phone aur TV ka istemal mehdood karen. Agar inn cheezon ka istemal majbori ho tou phir  aankhen jhapakna aur kuch der baad aankhon ko screen se hata kar rest dena na bhoolain.
  13. Kam roshni main parhnain aur bareek kam karne se guraiz karen.
  14. Rozana 7-8 ghante ki neend aankhon aur waise achi sehet k liye nahayat zaroori hai
Inn azmoda totkon say ankhon ya eyes  ko sehetmund rakhnay mey buhat madad milti hai.

chehre ke daag dhabby door krne ka Tariqa in urdu

Chehrey (face) k daagh dhabey chehrey ki khobsurti ko chupa dete hein. Is liye her koi, khas kr larkiyan apne chehrey k daagh dhabey dur krna chahti hein. Boht se larkiyan is kam k liye artificial creams istimal krti hein. Kbi kbi ye creams chehrey k dagh dur kr deti hein lekin aksar in k kuch side effects bhi hotey hein. Aur phir ye bhi hota hai k jese he ye creams istimal krna bnd kren, daagh or dhabey wapis a jatey hein. Khoobsurat chehra her ksi k liye jazib-e-nazar hota hai. Boht se log is k liye artificial tariqey istimal krtey hein pr desi totkey is lehaz se behter hein k un ka koi side ka asar nh hota. Agar ap chehrey k daagh dhabey dur krna chahtey hein to ye desi gharelu totkey jo urdu/ hindi main hain istimal kren:
Totkay/ Upay  Chehre K Daag Dhabe Door Karne K Liye:
Lemon ka istimal chehre k daag dhabe mitane k liye totka
Agar ap ki jild oily hai to ap k liye lemon ka istmal acha rhe ga. Lemon ko 2 hison mein kat len. Russ adhey se zyada nikal k baqi ka lemon chehrey pr ahista ahista malen. Lemon ka istimal apki jild ko saaf krta hai. Dagh dhabey dur krney k liye apki jild ka sehatmand hona boht zruri hai. Lemon wo qudarti ghiza apki jild ko beham pohunchata hai. Lemon ko chehrey pr achi trha rgren or us k russ ko chehrey pr kuch der k liye lgey rehney dein. Jb mehsus ho k russ khushk ho gya to mun thandey pani se dho len. Ye tariqa aik dum se asar nh dikhaey ga balkey apko kuch din k bad ahista ahista apni chehrey ki jild zyada sehtmand or saaf mehsus hogi.
Besan ka istimal chehre k dagh dhabe khatam karne ya hatane k liye totka
Besan ap k chehrey ki jild ko saaf krne ki qabiliyat rkhta hai. Agar chehrey k daagh dhabey ap desi totkey se dur krna chahen, to sb se behtareen tariqa hai k ap besan ko pani mein halka sa goondh k thora sa ubtan tyar kren. Agar chahen to us mein thori huldi bhi dal len. Ab is besan ko apne mun pr lga len, or jb khushk ho jae to ahista ahista ragar k chehrey se utaren. Besan is moqa pr bilkul modern scrub ak kam krey ga. Ap k chehrey se sb matti or grd k zrat or skin k andr phansi gandgi dur kr k ap k chehrey ko shadaab krney mein besan ehm kirdar ada kr skta hai. Is k bad apne chehrey ko pani se achi trha dho len or toliye se khushk kren.
Ye dono desi totkey aise hein jo jild k ander chupey un zaron ko bahar nikaltey hein jo dagh dhabon ka bais bntey hein.  Chehre ke daagh door krne k leye ye tips or totkey boht juld ap k chehrey ki jild pr apna acha asar dikhana shuru kr dein gai. Ap in dono desi totkon ko apni adat bna kr rkhen. Aisi chezon k rozana istimal se apk chehrey ki jils boht shafaf ho jae ge or daagh ahista ahista dur ho jaen gai. Apni khorak mein sabzi zyada kren, or din mein km se km 10 glass pani zrur piyen. Ye sb apki jild k liye acha hai.
Chehre k liye kuch mazeed gharlue  totke, nuskhe aur tips pesh hain.
Chehre yani face ke dagh dabhe door karne ke misc. totkay, nuskhe aur tips:
1. Buttermilk yani chaach face par laganay se bhi dagh dabhe door ho jatay hain.
2. Apple cinder vinegar ko pani ya orange juice main mix kar k face per lagaen.
3. Aloe Vera ke russ ko motasira jagah par lagaen.
4. Yogurt yani dehi bhi chehray ke dagh dabhon k liye aik mofeed totka hai. Yogurt ko directly dhabon pe lagaen.
5. Onion yani Peyaz kar ras bhi face ke spots yani dagh dhabon k liye aik home remedy yani totka hai.
Aik aham totkay yeh hai ke in home remedies k istemal main mustakil mizaji se kaam lain – chehre ya face ke daagh dhabe 1, 2 din main khatam nahin ho sakte , iske liye baaz oqat hafton ka waqt darkar hota hai.

Rang Gora Krne Ke Gharelu Totkay

Kya ap bhi un logon ki fehrist mein shamil hein jo rang gora ya saaf karne ki din rat mehnat kr rhy hein aur mukhtalif totkay aur tarikey istemal kar chukkay hain mgr abhi tk wo apny ghery sanwly rang sy chutkara nahin pa sky? Sanwali ya fair rangat hona hr giz koi buraee nhi mgr gori rangat chunky mqbool e aam hy is lyey sufaid yani gori rangat ky hasool ky lyey hum ziada koshann rehty hein.  Kisi cheez ki justuju krna bhi koi buree bat nhi. Chlein ji apky is msly ka kuch ilaj krty hein, rang gora ya saaf karne ke asan ghraloo natural totkon sey jo urdu/ hindi main hain:
Rang Gora Karne Ke Gharelu Totkay (Upay):
  • Dhoop main kam bahir niklen – aur jab niklen tu sar iss tarah se dhanp len k jism per seedhi dhoop na par sakay. Issi tarah pollution (aloodgi) wali jagah bhi kam se kam jaen.
  • Tamatar (tomato) ka chilka utaar kr isy kanty ki mded sy pees lein. is mein 1lemoo ka rus shamil kr ky chehry pr lgein. khushk hony pr chehra paani sy dho lein.
  • Rang gora karne ka aik totka ya tarika yeh bhi hai k ubtan ko sony sy pehly chehry pr lga lein 30 minute baad pani sy  dho lein
  • Kachy doodh mein 1lemon ka rus nachor lein is sy wo phut jyey ga ab is mein chutki bhr hldee powder shamil kr lein. raat bhr ky lyey . raat bhr ky lyey is amezy ko chor dein. subha roee(cotton) ki mded sy chehry pr lgein or 10 minute baad chehra dho lein.. yeh nuskha azmooda hy iska rozana istimal 100 feesd chehry ko ranaee or khiltee rngt bukshta hy. sirf 2 sy 3 maheeny ki mehnt ky baad ap frk khud mehsoos krein gi.
  • Phalon ka istemal bhi rang nikharne aur gora karne k aik aham zariya hai – khas tour per tarbooz, saib, kaila aur strabarries
  • 2 glass balaee utra hua doodh rozana peenay sy bhi rangat saaf yani gori hoti hy. or hudyan(bones)mzboot hoti hein.
  • Aik pyaley mein 1chmch lemon ka juice, 1chmch sheh(honey),1chmch badam ka teil(almond oil) or 1chmch milk powder yani sookha doodh shamil kr lein. in sb cheezon ko achi trha mix kr lein. is paste ko adhy ghunty ky lyey moonh or grdn py lga chor dein.isky baad taza pani sy dho lein.
  •  2 khany ky chmch dahee(yougurt) ko 1chmch tamater ky paste mein mila kr chehry pr lgein. 20minute baad chehra dho lein.is sy na sirf rngat mein nikhaar paida ho ga balky dhoop ki wjha sy prny waly kaly  dhuby bhi door ho jein gy
  • 1chmch baisn mein 1lemoo ka rs shamil krein or ik chutki dahee mila kr 10minute ky lyey chehry py lga chor dein. nul ky pani sy moonh achi trha dho lein. din mein 2 sy 3 mrtaba is paste ky istimaal sy rangt saaf or chehra 3 maheeny mein shadab ho jyey ga.
  • 4 chmch baison ko 1cup kuchy doodh(raw milk)mein shamil kr lein. is mein 1lemoo ka rus bhi daal kr garha sa paste bna lein. is mask ko chehry pr 25 sy 30minute tk lga chor dein. is mask ka rozana istimaal chehray ko nikharny mein mded gaar sabit hota hy,
  • Chocolate ka mask bhi chehry ki rangt nikharny or uski ronak bhrany mein nhiat mufeed sabit ho sakta hy.3 khany ky chmch coco powder mein 1 chae ka chmch dhaee,1chaey ka chmch shehd(honey) mix kr lein.chehry py adhy ghunty ky ly lga chor dein.khushk hony py chehra dho lein.
  • Rang gora karne ka aik totka yeh bhi hai k kisi pyaley mein 2 chaey ky chmch kheeray ka rus,2 chaey ky chmch lemoo ka rus or 2chaeyky chmch ark e gulb achi trah sey mix kr lein.is mask ko apney poorey chehray or gardn py achi trah sey laga kr raat bhr ky lyey chor dein.subha thunday pani say dho lein.
  • Rang gora karne k aik tip yeh bhi hai k pani ka istemal ziada karen. Iss se chehre fresh rehta hai aur rang bhi nikharta hai.
  • Chehre pe dehi yani yogurt ka mask bana kar lagaen – aur kuch der baad dhoodh yani milk se dho lain – dehi aur dhoodh dono rang gora karne aur rangat nikharne k liye nahayed mofeed hain.
  • Aik aur tip yeh hai k gajar (carrot) khanay ya uska juice peene se bhi rang surkh o safaid hota hai.
  • Podeenay (mint) ki patyan le kar unhain ubal kar unka pani thanda kar lain aur subah nehar monh istemal karen, rangat main nikhar aye ga.
  • Kachay aalu ko motay gole tukron main kaat ka face pe paste kar den aur jab sookh jay tou monh neem garm pani se doh lain. Yeh bhi rang saaf karne ka aik azmooda tarika hai.
  • Haldi (turmeric) aur olive oil ka paste bana kar achi tarah se chehre pe mall lain aur 20 minutes baad achi tarah dho lain. yeh bhi rang gora karne ka azmooda tarika hai.
  • Aik aur tarika ye hai k rose water se roazana face dhoen – rose water se jab mohn dhoen tou phir uske sath sabun istemal na karen.
  • Bhaap (steam) lene se bhi chehra sehatmand nazar ata hai aur rangat nikharnay aur saaf karne ke aik tareeqa hai.
  • Ghaza main aaloo, machli (salmon), sooraj mukhi k beej aur sabz ya aam chaye ka istemal bhi rang gora karne aur jild ki negehdasht ka aik aham nuskha aur raaz hai.
Yad rakhye rang gora karne k liye bhi waqt darkar hota hai – lehaza jo bhi totkay ya tarkeeb karen, mustakil mizaji se karen tou apki mushkil asan ho jay gee.

chicken korma recipe in urdu


چکن قورمہ

اجزاء:
دہی ۔۔۔ ایک پاؤ
چکن ۔۔ آدھا کلو
پیاز ۔۔ آدھا کلو
ادرک لہسن کا پیسٹ ۔۔ تین کھانے کے چمچے
چھوٹی الائچی ۔۔۔ 5-4 عدد
جائفل ۔۔۔ آدھا چائے کا چمچہ
جاوتری ۔۔۔ آدھا چائے کا چمچہ
نمک ۔۔ حسب ذائقہ
تیل ۔۔۔ حسب ضرورت
پسی لال مرچ ۔۔ دو کھانے کے چمچے
بادام ۔۔۔ 6 عدد

ترکیب:
پہلے حسب ضرورت تیل گرم کر کے اس میں آدھا کلو پیاز کو فرائی کر کے نکال لیں۔ اب اس میں آدھا کلو چکن اور تین کھانے کے چمچے ادرک لہسن کا پیسٹ شامل کر کے فرائی کر لیں۔ اس کے بعد گرائنڈر میں فرائی کی ہوئی پیاز، 6 عدد بادام اور اور ایک پاؤ دہی ڈال کر گرینڈر کرین اور اسے چکن میں ڈال دیں۔ پھر اس میں دو کھانے کے چمچے پسی لال مرچ، 5-4 عدد چھوٹی الائچی اور حسب ذائقہ نمک ڈال کر تھوری دیر کے لیے بھون لیں۔ آخر میں دم پر آدھا چائے کا چمچہ جائفل اور ادھا چائے کا چمچہ جاوتری شامل کر دیں۔ مزیدار چکن قورمہ تیار ہے۔

Alovara Ki Afadiat

Qudrat ne is dunya mein anwa w iqsam ki jari bootia or plants paida kiye hein jin mein mukhtalif diseases se shifa mojood hai. Aloe Vera bhi 1 awsa hi poda hai jo apne andar tibbi fawaid ka khazana rakhta hai. Punjab mein ise kora gandal kehtay hein.
Eunani, Roman, Italwi, Roosi or Francisi zaban mein ise Aloe Vera kehtay hein. Europe mein ise plant ke tibbi fawaid janne ke liye bohat si tehqiqat ki gai or Aloe Vera ko jild par lagane ke bohat se fawad samne aaye hein. Agar hath jal jaye to foran is ka gooda lagane se jalan khatam ho jati hai. Expert Tib ne is plant ke luaab se banaye gaye 1 hydrogen par research ki to maloom huwa ki ye mouth ulcer mein bohat mufeed hai.
Different creams ke use se chehre ki jild kharab ho jati hai or be ronaq bhi Aloe Vera ke use se na sirf aap ki jild jawan rehti hai balkay aap ke husan ko bhi 4 chaand lag jate hein. Is ke liye Aloe Vera ka gooda din mein 2 martaba lagayen or dry hone par moo wash kar lein.