Girty balon (hair loss or hair fall) sy kisy nahin dar lagta? Aj kay zamaney mein kon esa shaks hy jo zahnee uljhno mein jkra hua nhi hy. Sakoon ki kami or manfi sochon ny na sirf insane seht py na qabil e talafi asrat murtb kyey hein balky balon ka bhi bura haal kr diya hy jisko dekho apny balon ky girny (hair loss) ka rona rota nazr ata hy. Desi gharelu totkay aur nuskhe ya home remedies istiml karne se hmay balon k girne ya jharnay ki preshani sy nijaat mil sakti hai.
Gharelu Totkay (Upay) for Hair Loss Prevention in Urdu / Hindi:
- Akhrot khana girte balon se bachaon k liye mofeed nuskha hai. Kiun k akhrot main aisey ajza (tail) hota hai jo balon ko mazboot banata hai. Agar uss tail ki kami ho jay tu baal girna shuru ho sakte hain.
- Iron yani folad ki kami bhi baal girne ka baes banti hai. Palak main chonke iron ziada hota hai iss ka khorak main istemal balon ko girne se bachata hai aur mazboot banata hai.
- Kheeray ka juice girty balon yani hair loss k liye bohat mofeed totka hai kionkey is mein mojood sulphur or silicon balon ki nsho numa ky lyey zroori hy.
- Agr kheray ky juice mein gajr ka juice or palk(spinach) ka juice mila ky istimal kya jyey to balon ka girna bnd ho jatay hain yani hair fall ruk jata hai.
- Amalon ko raat ko pani mein bhigo dein. Subha amlon ky pani sy ser dho lein.
- Chuknder ki jer paton(leaves) or mehndi ky pton(leaves)ko pees lein or is paste ko balon py lga lein.2ghnty baad dho lein.balon ka girna bnd ho jyey ga.
- Palk or dhnyey ka juice peeny sy baal girna (hair loss) band ho jaty hein.
- I chmch sirka 1glass pani mein mila lein.hr khany ky sath pee lein.
- Nareal ka doodh balon mein 2 ghunty ky lyey lga ky chor dein.baad mein kisee achay shampoo sy dho lein.
- Daar cheeni powder shehd or zaitoon ka teil mix kr ky ser py is ki malish krein.baal girna bnd ho jein gy.
- 1cup mustard oil mein 4 khany ky chmch henna ky pty shamil kr ky boil krein.kisi bottle mein chaan(filter)kr ky rkh lein.roz iski malish krein.
- Pani or dhnyey ko mila ky juice bna lein.baal dhony sy phely balon mein lgein or saaf pani sy baal dho lein.
- Daar cheni powder mein thora sa pani daal kr paste bna lein.ser mein laip krein or 1 ghntay baad dho lein.
- 1 anda amla powder mein mila ky paste bnein or balon mein lga lein.baal girna bnd ho jein gy. yeh girte balon ke liye azmood totkon main se aik aham totka hai.
- Hr roz badam ky oil sy malish krny sy baal grna bnd ho jaty hein.
- Amala,reetha or shikakai ko pani mein daal kr boil krein.jb pani adha reh jyey to thnda kr lein.is shampoo sy baal dhony sy baal girna bnd ho jein gy.
- Paiaz (onion)ka chilka utaar lein or km balon ki jga py rgrein.baal ugna shru ho jein gy.- Piaz k elawah lehsan (garlic) ya adrak (ginger) ka juice balon main laganay k bhi musbat nataej nikalte hain.
- Green tea bhi hair loss ya hair fall k liye aik mofeed totkon main se aik totka hai. 2 green tea bags se green tea bana kar kadrey thanda kar ke balon par laga lain.
- Castor oil or zaitoon ka teil eik mikdar mein mila lein.neem grm kr ky malish krein.baal girna bnd ho jein gy.
- Andy ki zardi mein shehd mix krein or malish krein.baad mein shampoo sy dho lein.
- Amla,reetha or andy ki zrdi mila ky paste bna lein.balon ko achi trha massage krein. Baad mein shampoo sy dho lein.
- Nem ky pton ko pani mein ubal lein.thunda honay per is sy baal dho lein. ye bhi hair loss yani girte balon ka moais desi ilaj hai.
- Baal dhotay waqt km az km 10 minute kisi bhi quderti teil ka massage zroor krein.baal gira ya jharna bnd ho jein gy yani hair loss ruk jay ga.