Chehrey (face) k daagh dhabey chehrey ki khobsurti ko chupa dete hein. Is liye her koi, khas kr larkiyan apne chehrey k daagh dhabey dur krna chahti hein. Boht se larkiyan is kam k liye artificial creams istimal krti hein. Kbi kbi ye creams chehrey k dagh dur kr deti hein lekin aksar in k kuch side effects bhi hotey hein. Aur phir ye bhi hota hai k jese he ye creams istimal krna bnd kren, daagh or dhabey wapis a jatey hein. Khoobsurat chehra her ksi k liye jazib-e-nazar hota hai. Boht se log is k liye artificial tariqey istimal krtey hein pr desi totkey is lehaz se behter hein k un ka koi side ka asar nh hota. Agar ap chehrey k daagh dhabey dur krna chahtey hein to ye desi gharelu totkey jo urdu/ hindi main hain istimal kren:
Totkay/ Upay Chehre K Daag Dhabe Door Karne K Liye:
Lemon ka istimal chehre k daag dhabe mitane k liye totka
Agar ap ki jild oily hai to ap k liye lemon ka istmal acha rhe ga. Lemon ko 2 hison mein kat len. Russ adhey se zyada nikal k baqi ka lemon chehrey pr ahista ahista malen. Lemon ka istimal apki jild ko saaf krta hai. Dagh dhabey dur krney k liye apki jild ka sehatmand hona boht zruri hai. Lemon wo qudarti ghiza apki jild ko beham pohunchata hai. Lemon ko chehrey pr achi trha rgren or us k russ ko chehrey pr kuch der k liye lgey rehney dein. Jb mehsus ho k russ khushk ho gya to mun thandey pani se dho len. Ye tariqa aik dum se asar nh dikhaey ga balkey apko kuch din k bad ahista ahista apni chehrey ki jild zyada sehtmand or saaf mehsus hogi.
Besan ka istimal chehre k dagh dhabe khatam karne ya hatane k liye totka
Besan ap k chehrey ki jild ko saaf krne ki qabiliyat rkhta hai. Agar chehrey k daagh dhabey ap desi totkey se dur krna chahen, to sb se behtareen tariqa hai k ap besan ko pani mein halka sa goondh k thora sa ubtan tyar kren. Agar chahen to us mein thori huldi bhi dal len. Ab is besan ko apne mun pr lga len, or jb khushk ho jae to ahista ahista ragar k chehrey se utaren. Besan is moqa pr bilkul modern scrub ak kam krey ga. Ap k chehrey se sb matti or grd k zrat or skin k andr phansi gandgi dur kr k ap k chehrey ko shadaab krney mein besan ehm kirdar ada kr skta hai. Is k bad apne chehrey ko pani se achi trha dho len or toliye se khushk kren.
Ye dono desi totkey aise hein jo jild k ander chupey un zaron ko bahar nikaltey hein jo dagh dhabon ka bais bntey hein. Chehre ke daagh door krne k leye ye tips or totkey boht juld ap k chehrey ki jild pr apna acha asar dikhana shuru kr dein gai. Ap in dono desi totkon ko apni adat bna kr rkhen. Aisi chezon k rozana istimal se apk chehrey ki jils boht shafaf ho jae ge or daagh ahista ahista dur ho jaen gai. Apni khorak mein sabzi zyada kren, or din mein km se km 10 glass pani zrur piyen. Ye sb apki jild k liye acha hai.
Chehre k liye kuch mazeed gharlue totke, nuskhe aur tips pesh hain.
Chehre yani face ke dagh dabhe door karne ke misc. totkay, nuskhe aur tips:
1. Buttermilk yani chaach face par laganay se bhi dagh dabhe door ho jatay hain.
2. Apple cinder vinegar ko pani ya orange juice main mix kar k face per lagaen.
3. Aloe Vera ke russ ko motasira jagah par lagaen.
4. Yogurt yani dehi bhi chehray ke dagh dabhon k liye aik mofeed totka hai. Yogurt ko directly dhabon pe lagaen.
5. Onion yani Peyaz kar ras bhi face ke spots yani dagh dhabon k liye aik home remedy yani totka hai.
Aik aham totkay yeh hai ke in home remedies k istemal main mustakil mizaji se kaam lain – chehre ya face ke daagh dhabe 1, 2 din main khatam nahin ho sakte , iske liye baaz oqat hafton ka waqt darkar hota hai.